dar dar phirte logoñ ko dar de maulā
banjāroñ ko bhī apnā ghar de maulā
jo auroñ kī ḳhushiyoñ meñ ḳhush hote haiñ
un kā bhī ghar ḳhushiyoñ se bhar de maulā
zulm-o-sitam ho ḳhatm na ho dahshat-gardī
amn-o-amāñ kī yuuñ bārish kar de maulā
bhūke pyāse muflis aur yatīm haiñ jo
nazar-e-ināyat un par bhī kar de maulā
jo karte haiñ ḳhūn-ḳharāba zulm-o-sitam
un ke bhī dil meñ thoḌā Dar de maulā