tamannā hai sañvar jaane se pahle
tujhe dekhūñ nikhar jaane se pahle
kabhī mujh par bhī ho nazar-e-ināyat
merī hastī bikhar jaane se pahle
tere pahlū meñ hī nikle mirā dam
yahī ḳhvāhish hai mar jaane se pahle
chalo ek pyaar kā paudhā lagā.eñ
bahāroñ ke guzar jaane se pahle
guzarnā hai mujhe un kī galī se
vuzū kar luuñ udhar jaane se pahle
chalo ik dūsre meñ Duub jaa.eñ
ujāloñ ke ubhar jaane se pahle