mehnat kī jab ḳhushbū Tapke parchhā.īñ muskātī hai
thak kar un kī bāñhoñ meñ tab añgḌā.ī muskātī hai
un kī ḳhushbū pā kar dil kī añgnā.ī muskātī hai
un ko chhūne se yādoñ kī bīnā.ī muskātī hai
jin ke khulne se duniyā kā har gulshan ābād huā
un kaliyoñ kī ḳhushī sajā kar shahnā.ī muskātī hai
un kī ḳhushbū se ḳhushbū hai gulshan ke sab phūloñ meñ
un ko chhū kar aane vaalī purvā.ī muskātī hai
yādeñ ghāyal sāñseñ bojhal jiinā hai dushvār mirā
merī hālat dekh ke ab to tanhā.ī muskātī hai