kahīñ pe chīḳh hogī aur kahīñ kilkāriyāñ hoñgī
agar hākim ke aage bhuuk aur lāchāriyāñ hoñgī
agar har dil meñ chāhat ho sharāfat ho sadāqat ho
mohabbat kā chaman hogā ḳhushī kī kyāriyāñ hoñgī
kisī ko shauq yuuñ hotā nahīñ ġhurbat meñ jiine kā
yaqīnan sāmne us ke baḌī dushvāriyāñ hoñgī
ye holī iid kahtī hai bhalā kab apne hāthoñ meñ
vafā kā rañg hogā pyaar kī pichkāriyāñ hoñgī
muqābil meñ hai aayā ek jugnū aaj sūraj ke
yaqīnan paas us ke bhī baḌī tayyāriyāñ hoñgī
suḳhnavar kā ye āñgan hai 'razā' sheroñ kī ḳhushbū hai
ġhazal aur giit nazmoñ kī yahāñ phul-vāriyāñ hoñgī