Shakeel Sarosh

zindagi aur maut ka yun rabta rah jaega

Shakeel Sarosh

Pakistan

zindagī aur maut kā yuuñ rābta rah jā.egā
maqtaloñ ko jaane vaalā rāsta rah jā.egā
ḳhushk ho jā.eñgī āñkheñ aur chhaT jā.egā abr
zaḳhm-e-dil vaise kā vaisā aur harā rah jā.egā
bujh chukī hoñgī tumhāre ghar kī saarī mish.aleñ
aur to logoñ meñ sham.eñ bāñTtā rah jā.egā
mujh se le jā.egā ik ik chiiz vo jaate hue
lekin is kā naam āñkhoñ meñ likhā rah jā.egā
phuul meñ maujūd rahne se hai ḳhushbū kā vaqār
phuul meñ ḳhushbū nahīñ hogī to kyā rah jā.egā
yādgār-e-ishq aisī chhoḌ jā.ūñgā 'sarosh'
husn hairānī se mujh ko dekhtā rah jā.egā
Top Urdushayar.com