fitna-ḳhū le ga.ī dil chhīn ke jhaT-paT ham se
aur phir sāmne aane meñ hai ghuñghaT ham se
aap kā qasd mohabbat hai agar ġhairoñ se
qarz le lījiye thoḌī sī mohabbat ham se
so ga.e ham to ham-āġhosh hue ḳhvāb meñ vo
ab to karne lage kuchh kuchh vo lagāvaT ham se
ek bose kī talab meñ huī mehnat barbād
vasl kī raat huī yaar se khaTpaT ham se
sulh kar leñ tire ḳhanjar ke gale mil jaa.eñ
qatl ke vaqt na rakhiye vo rukāvaT ham se
haa.e kis naaz se kahte haiñ shab-e-vasl meñ vo
ho chukī baat jo honī thī pare haT ham se