ishq-e-ruḳh-o-zulf meñ kiyā kuuch
shab aa ke rahā sahar kiyā kuuch
ḳhayyāt-e-nafas kā hai bajā kuuch
darzī kā hai kyā maqām kyā kuuch
jab mauj-e-ravāñ kahīñ na Thahrī
dam le ke habāb kar gayā kuuch
har-dam hai ravā na umr-e-insāñ
har ek nafas hai kar rahā kuuch
parvāna jalā to sham.a bolī
terā hai udhar idhar mirā kuuch
vo sozan-e-sā.at-e-ravāñ huuñ
kartī hai jo har minute sadā kuuch
ghuñghrū dam-e-naz.a boltā hai
āvāz jaras ne dī huā kuuch
ham saath the pā-shikasta jis ke
lashkar vo jahāñ se kar gayā kuuch
shab-bhar hai faroġh-e-sho.ala ai 'shād'
hañgām-e-sahar hai sham.a kā kuuch