Shad Lakhnavi

lab-ba-lab bint-ul-anab har-dam rahe

Shad Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1805-1899
lab-ba-lab bint-ul-anab har-dam rahe
daur-daur-e-jām-e-mai jam jam rahe
zikr-e-qumrī bhī jo karte ham rahe
us sahī qāmat kā bharte dam rahe
dūd-e-ḳhat ho yā duḳhān-e-zulf ho
jis jagah dhūnī ramā.ī ram rahe
shoḳh kaisā hai aqīq-e-surḳh ho
la.al-e-lab se rañg meñ maddham rahe
nā-tavānī ne biThāyā jis jagah
phir na uTThe lais ho kar jam rahe
jab maiñ royā bārish-e-bārāñ huī
khul gayā muñh ashk jis dam tham rahe
'shād' pīchhā kar ke ġhaul-e-nafs kā
rāh-e-haq bhūle-bhaTkte ham rahe
Top Urdushayar.com