Shad Lakhnavi

pas us but ke jo ghair aa ke koi baiTh gaya

Shad Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1805-1899
paas us but ke jo ġhair aa ke koī baiTh gayā
dard uTThā yā mire jis meñ ki jī baiTh gayā
ishq-e-mizhgāñ meñ hazāroñ ne gale kaTvā.e
īd-e-qurbāñ meñ jo vo le ke chhurī baiTh gayā
jab raqīb us ko batāne lage arkān-e-namāz
thaam kar dil kabhī uTThā maiñ kabhī baiTh gayā
ai jilā-sāz kabhī phir na safā.ī hogī
zañg ā.īna-e-dil meñ jo zarā baiTh gayā
dast-o-pā hote haiñ har vaar meñ lākhoñ ke do niim
haath chaurañg pe mashq us ne jo kī baiTh gayā
chashma-e-gor vo hai us se na niklā koī
us kuñ.eñ meñ jo girā Dūbte hī baiTh gayā
thaam kyūñkar nahīñ lete haiñ vo dil dekheñ to
tīr-e-nāla jo nishāne pe koī baiTh gayā
phuuT bahtā jo ye ai 'shād' to behtar hotā
phir ye ubhregā phapholā jo abhī baiTh gayā
Top Urdushayar.com