joñ sabza rahe ugte hī pairoñ ke tale ham
barsāt ke mausam meñ bhī phūle na phale ham
mahrūm-e-chaman murġh-e-qafas band-e-azal haiñ
sayyād ke pinjre meñ haiñ bachpan se pale ham
jab ġhair se hotā hai vo saffāk baġhal-gīr
teġh-e-safhānī ko lagāte haiñ gale ham
chakkī kī tarah charḳh ne piisā to hamīñ ko
daanā haiñ zamāne ke ga.e us se valī ham
ye shauq-e-shahādat hai jo teġh us ne alam kī
gardan ko jhukā.e hue sayyād chale ham
vo mast haiñ jab dar pe aḌe pīr-e-muġhāñ ke
be-mai ke piye phir nahīñ Taale se Tale ham
abrū kī havā bhī na lagī bul-havasoñ ko
us teġh kī roz aañch meñ be-āb jale ham
kuchh ġham nahīñ but samjheñ bad-o-nek jo chāheñ
allāh ke bande haiñ bure haiñ ki bhale ham