gar junūñ kar mujhe pāband-e-salāsil jaatā
paañv rakhne kā Thikānā to kahīñ mil jaatā
mar bhī jaatā to na merā maraz-e-sil jaatā
ġham-e-asnām kī chhātī pe dhare sil jaatā
ḳhatt-e-āriz jo tarashne se miTe hai ye muhāl
chhīlne se nahīñ qismat kā likhā chhil jaatā
chhūTtā iid ke din bhī na giraftāroñ ko
sūrat-e-tauq-e-gulū-gīr gale mil jaatā
jab chamaktī hai tirī teġh tabassum ai gul
dahan-e-zaḳhm hai ġhunche kī tarah khil jaatā
dil meñ hotā na mire daḳhl balā-e-kākul
saaya rahtā na kabhī girya makāñ kil jaatā
ra.asha-andām huuñ ye ḳhauf-e-ḳhudā se ai 'shād'
koī mujrim ho kaleja hai mirā hil jaatā