jaan yā dil nazr karnā chāhiye
kuchh na kuchh us but ko puujā chāhiye
dil-shigāfī chāhiye misl-e-qalam
zaḳhm siine kā na siinā chāhiye
kaaT kar sar paar beḌā kījiye
teġh ke ghāToñ utārā chāhiye
maiñ fidā huuñ gar tumheñ bāvar na ho
aazmā dekho use kyā chāhiye
kashtī-e-mai kā lab-e-jū daur ho
khelnā mastoñ nivāḌā chāhiye
mast-e-sar-josh-e-shahādat kījiye
misl-e-mai talvār khīñchā chāhiye
vasl meñ bekār hai muñh par naqāb
sharm kā āñkhoñ pe pardā chāhiye
koī ho pāmāl misl-e-naqsh-e-pā
apne sar par ḳhaak uḌānā chāhiye
vo jo samajhiye na samjhe jī meñ hai
apne hī par dil se samjhā chāhiye
sab bure aġhyār hoñ kuchh ġham nahīñ
vo hasīñ bizzāt achchhā chāhiye
aañkh kā parda agar manzūr hai
chilmaneñ mizhgāñ kī chhoḌā chāhiye
kyā tilism-e-husn-o-ishq ai 'shād' hai
ye kisī kāmil se pūchhā chāhiye