vaqt-e-taz.īñ jo dikhā.e vo safā siine ko
muñh dikhāne kī na phir jā rahe ā.īne ko
ġham nahīñ mahfil-e-jānāñ meñ nahīñ sadr-nashīñ
us ne siine meñ to jaave hai mire kiine ko
ai sanam tujh ko jo pahuñchā vo ḳhudā ko pahuñchā
zīna-e-arsh samajhtā huuñ tire ziine ko
shāl-e-shāhī se ziyāda hai mujhe kamlī-e-faqr
jāntā pashm barābar huuñ maiñ pashmīne ko
ham vo hātim haiñ ki jo sūrat-e-qārūn ai 'shād'
saath le jā.eñge zar baañT ke ganjīne ko