bolnā bāda-kashoñ se na zarā ai vaa.iz
kaan pakḌūñgā jo qulqul ko sunā ai vaa.iz
duḳhtar-e-raz ko jo kahtā hai burā ai vaa.iz
us afīfa ne tirā kyā hai kiyā ai vaa.iz
jām-e-kausar kī jo ḳhvāhish hai dam-e-bāda-kashī
bazm-e-rindān-e-qadah-nosh meñ aa ai vaa.iz
joshish-e-shīsha-o-sāġhar-shiknī kā hai bayāñ
muñh toḌe koī badmast tirā ai vaa.iz
jām-e-mai daur meñ lā charḳh-e-kuhan kī sūrat
dekhtā hai jo tujhe rañg nayā ai vaa.iz
TuuT jaa.e na kahīñ tere kaḌe hāthoñ se
dil mirā shīsha-e-nāzuk hai sunā ai vaa.iz
loT ho tū jo na mastoñ kī tarah kyā ma.anī
muñh lagā bint-e-inab ko to zarā ai vaa.iz
pārsā.ī to zarā zāhid-e-makkār kī dekh
rahn-e-mai ḳhirqa-sālūs huā ai vaa.iz
chaḌh ke mimbar pe na makkār daroġh itnā bol
muñh meñ bū aatī hai jhūTe ke sunā ai vaa.iz
har-nafas 'shād' yahī qaul hai matvāloñ kā
ham ne sauñpā tujhe shaitān ko jā ai vaa.iz