maiñ vo be-chāra huuñ jis se be-kasī mānūs hai
jo hathelī haath meñ hai ik kaf-e-afsos hai
is qadar rañj-e-siyah-baḳhtī se huuñ zār-o-nahīf
do-qadam chalnā bhī jis ko ek kaale kos hai
āsmāñ nān-e-javīñ bhī de to ne.amat jāniye
pāo-roTī bhī jo haath aa.e samjhe toss hai
ġhair ke ḳhātir dharā jaatā huuñ maiñ muft-e-ḳhudā
koī mulzim ho vo but detā mujhī ko dos hai
'shād' aasā hai use bhī bosa-e-lab kī havas
bul-havas bhī ai shakar-lab ek hī lahlūs hai