Shad Lakhnavi

ai bad-guman tera hai guman aur ki taraf

Shad Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1805-1899
ai bad-gumāñ tirā hai gumāñ aur kī taraf
merā tire sivā nahīñ dhyāñ aur kī taraf
nāvak mujhe raqīb ko barchhī lagā.iye
tiir us taraf chale to sināñ aur kī taraf
mujh ko sunā ke ġhair ke uupar palaT piro
palTo jo guftugū meñ zabāñ aur kī taraf
hūr-o-parī pe kyā hai hamārā sivā.e yaar
dil aur kī taraf hai na jaañ aur kī taraf
ghar dil meñ tū hamāre ḳhudā ke liye na le
ai ḳhānumāñ-ḳharāb makāñ aur kī taraf
ham fāqa-mast rizq-e-muqaddar pe shaad haiñ
bheje ḳhudā ta.aam ke ḳhvāñ aur kī taraf
urdu meñ 'mus.hafī' ko bhī ustād kah ke 'shād'
āvāza kas gayā ye javāñ aur kī taraf
Top Urdushayar.com