Shad Lakhnavi

sharten jo bandagi mein lagana rawa hua

Shad Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1805-1899
sharteñ jo bandagī meñ lagānā ravā huā
ai vā.izoñ namāz na Thahrī juā huā
ubhrā jo rū-siyāh tunuk-zarf kyā huā
had se sivā jo ḳhaal huā vo masā huā
pūchho na kū-e-yār-e-adam kī musāfiro
Dharrā hai sū-e-gor-e-garībāñ lagā huā
sūkhā havā-e-ġham se jo kuchh tāzgī huī
maiñ vo shajar huuñ ḳhushk huā jab harā huā
saanī muhāl hai sanam-e-lā-javāb kā
paidā koī ḳhudā kā nahīñ dūsrā huā
misl-e-habāb dam meñ fanā ho jo aadmī
paanī kā bulbula na huā aur kyā huā
vo dil-jalā huuñ jis meñ mirī ḳhaak mil ga.ī
jo naḳhl is zamīñ pe huā aag kā huā
nāḳhun-ḳharāshiyoñ se jarāhat jo baḌh chale
nāsūr aur zaḳhm-e-kuhan meñ sivā huā
hañste to gul-ruḳhoñ se haiñ misl-e-dahān-e-zaḳhm
lekin hai aable kī tarah dil dukhā huā
sākit zabān ho ga.ī ai 'shād' marte dam
kyā band andalīb mirā boltā huā
Top Urdushayar.com