Shad Lakhnavi

KHat dekhiye didar ki sujhi ye nai hai

Shad Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1805-1899
ḳhat dekhiye dīdār kī sūjhī ye na.ī hai
vaifar kī jagah aañkh lifāfe pe lagī hai
ḳhākistar-e-tan ḳhair ho barbād huī hai
uḌtī ye ḳhabar gard-e-parīda se sanī hai
ham-ḳhvābī-e-jānāñ mirī qismat meñ likhī hai
sote meñ zuleḳhā kī tarah aañkh lagī hai
lau ishq kī vo hai ki patañge ko jalā kar
sar meñ jo lagī sham.a ke talve meñ bujhī hai
miT jā.egā har ādam-e-ḳhākī kā muraqqa.a
tasvīr-e-gilī jo hai bigaḌne ko banī hai
rone ko maiñ huuñ bārish-e-bārāñ ke muqābil
aañsū jo thame dīda-e-pur-nam to hañsī hai
jī jā.ūñ ki mar jā.ūñ maiñ is nāla-kashī se
nathnoñ meñ hai dam nai kī tarah naak meñ jī hai
Tapkeñ havaseñ kyuuñ na pasīne se hamāre
har rauñgTe se ḳhvāhish-e-dil phuuT bahī hai
siine pe dhare haath na mujh soḳhta-jāñ ke
pahlū meñ kaleje kī jagah aag dabī hai
qaazī kā irāda hai ki hai mai kā muchalka
tauba dar-e-mai-ḳhāna pe dene ko Dhahī hai
ab 'shād' ġhazal aur kaho qaid-e-ravī meñ
is ke to sab abyāt meñ ītā-e-jalī hai
Top Urdushayar.com