Shad Lakhnavi

ishq mein zor umr-bhar mara

Shad Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1805-1899
ishq meñ zor umr-bhar maarā
āqibat kohkan ne sar maarā
nāla-e-dil ne ḳhush-navā.ī meñ
ta.ana-e-saut hazār par maarā
zaḳhm pinhāñ dil-o-jigar meñ nahīñ
na khulā kyā idhar-udhar maarā
mujh ko ghaḌiyāliyoñ ne hijr kī raat
be-bajā.e hue gajar maarā
dahne baa.eñ malak haiñ dekh na leñ
is liye dekh-bhāl kar maarā
sādgī par miTe hue the yūñhī
aur bhī us ne ban-sañvar maarā
mar-miToñ kā patā kahīñ na lagā
be-nishānoñ kā DhūñDh ghar maarā
chashm-e-tar ne bahā ke jū-e-sarishk
mauj-e-dariyā ko dhaar par maarā
ham vo haiñ kushta-e-tamannā 'shād'
ḳhvāhish-e-dil ko umr-bhar maarā
Top Urdushayar.com