zarā dekhnā ḳhāksārī hamārī
milī ḳhaak meñ ḳhaak saarī hamārī
use hashr meñ ai ḳhizar dekh leñge
agar zindagī hai tumhārī hamārī
ye kahte haiñ mizhgān-e-tar ko dikhā kar
bujhī zahr meñ hai kaTārī hamārī
vabāl-e-jahāñ haiñ ye aalam ke uupar
mare par bhī hai laash bhārī hamārī
hameñ tum ho rūh-e-ravāñ se ziyāda
tumheñ kuchh nahīñ jaan pyārī hamārī
baham rah sakeñ kis tarah aag paanī
nibhe dostī kyā tumhārī hamārī
mare par bhī ai 'shād' taqdīr bigḌī
kisī ne na uqbā sañvārī hamārī