Shad Lakhnavi

jo beach mein aaina ho pyare idhar hamare udhar tumhaare

Shad Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1805-1899
jo beach meñ aa.ina ho pyāre idhar hamāre udhar tumhāre
to phir hoñ bāham-digar nazāre idhar hamāre udhar tumhāre
jo kuchh guzartī hai dil pe pyāre idhar hamāre udhar tumhāre
kaheñ vo kis se adū haiñ saare idhar hamāre udhar tumhāre
chale vo bād-e-murād hamdam jo bahr-e-ġham se nikāle bāham
ḳhushī ke bajre lageñ kināre idhar hamāre udhar tumhāre
ḳhushī thī ḳhalvat-nashīñ the bāham muḳhil huā ġhair aa ke jis dam
to hosh-o-aql-o-ḳhirad sidhāre idhar hamāre udhar tumhāre
nasīb agar phir huī vo sohbat baham jo guzrī miyān-e-ishrat
to kaam bigḌe ḳhudā sañvāre idhar hamāre udhar tumhāre
ḳhudā dikhā.e jo vasl kī shab ḳhushī se gul-gul shagufta hoñ sab
jo daaġh dil par haiñ ġham ke maare idhar hamāre udhar tumhāre
milā hai tum ko jo shahr-e-ḳhūbī to mulk-e-ġham ke haiñ ham bhī vaalī
hue haiñ kishvar do ujāre idhar hamāre udhar tumhāre
jo baat karte na ġhair dete jhukā ke āñkheñ hī dekh lete
ki hote bāham-digar ishāre idhar hamāre udhar tumhāre
ḳhabar na afshāñ kī ham jhalak se na tum ḳhabar dard kī chamak se
kuchh in dinoñ meñ bure sitāre idhar hamāre udhar tumhāre
nikālo vaslat kī tum jo rāheñ karūñ maiñ rah rah ke garm aaheñ
jahāz-e-dūdī lageñ kināre idhar hamāre udhar tumhāre
ḳhudā uThā.e ye parda-e-ġham jo mil ke ham tum hoñ 'shād' bāham
to kaisī shādī ho ghar meñ pyāre idhar hamāre udhar tumhāre
Top Urdushayar.com