gosh kar fariyād-e-āshiq jaan kar
nāla-e-bulbul pe ai gul kaan kar
jab badal kapḌe kafan kā dhyān kar
ġhusl-e-mayyat jaan jab ashnān kar
khaal mujh mahv-e-mizha kī jaan kar
rakh diyā chhalnī kā siina chhān kar
miT ga.e us kī chaqoñ ko dekh kar
bulbule ubhre jo siina taan kar
saḳht-jāñ vo huuñ jo ho mujh par ravāñ
aslahe rah jaa.eñ lohā maan kar
aag meñ apne misāl-e-sham.a jal
par zabān se uf na ai nādān kar
nashtar-e-mizhgāñ ho būñdī kī kaTār
būñd-bar paanī pilā ehsān kar
ai dur-e-yaktā janāb-e-ḳhizr ne
ik mujhe paayā zamāna chhān kar
jism-zār-e-qais kā pūchhā jo haal
rakh diyā makḌī ne jaalā taan kar
ġham gunāhoñ kā na khā 'shād'-e-hazīñ
rahmatul-lilālamīñ par dhyān kar