Shad Lakhnavi

jis ke hum bimar hain gham ne use bhi randa hai

Shad Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1805-1899
jis ke ham bīmār haiñ ġham ne use bhī rāñda hai
ho chukā darmāñ masīhā aap hī darmāñda hai
jīte-jī kyā mar ga.e par bhī vabāl-e-dosh hai
jo mirī mayyat uThātā hai vo detā kāñdhā hai
tā-qayāmat gardish-e-taqdīr jaane kī nahīñ
apnī bargashta-nasībī ne vo charḳhā nāñda hai
hai ayaañ har shai se dikhlā.ī nahīñ detā magar
vaah re DhaT bandī kiyā sab kī nazar ko bāñdhā hai
ham idhar betāb udhar vo barq-vash betāb hai
kauñdtī bijlī kisī jānib lapaktā kāñda hai
uḌ gayā bak-bak se ham nāzuk-mizājo kā dimāġh
pand-go chup rah kahāñ kā qissa nāñdhā hai
Dar nahīñ be-mātre ai 'shād' hindī lafz kā
is ġhazal meñ qāfiya dānista ham ne bāñdhā hai
Top Urdushayar.com