Shad Lakhnavi

nazron se gulon ki nau-nihaalo

Shad Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1805-1899
nazroñ se guloñ kī nau-nihālo
shabnam kī tarah girā sambhālo
maano rah-e-sarkashī nikālo
pagḌī mah-o-mehr kī uchhālo
sayyād ḳhafā hai bulbul-o-kabak
ḳhāmosh raho na bolo-chālo
asnām meñ shān-e-haq ayaañ hai
āñkheñ haiñ to un ko dekho-bhālo
Thahro koī dam ke mehmān haiñ
chalte to haiñ ham bhī chalne vaalo
mushtāq-laqā hai ik ḳhudā.ī
ab va.ada hashr par na Taalo
jhūTe vo tum ai gulo ho barsoñ
be-dūdh jo tifl-e-ġhuncha pā lo
chhalnī yūñhī dil hai nīsh-e-ġham se
mizhgāñ kī na barchhiyāñ sambhāloñ
holī na.e qumqumoñ se khelo
par ḳhūn-e-dil-e-āshiqāñ uchhālo
maarā hī jo 'shād' ko hasīno
ḳhātir se ġhubār to nikālo
Top Urdushayar.com