Shad Lakhnavi

kya kahun ghuncha-e-gul nim-dahan hai kuchh aur

Shad Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1805-1899
kyā kahūñ ġhuncha-e-gul nīm-dahāñ hai kuchh aur
lā-kalāmī hai vahāñ baat yahāñ hai kuchh aur
bujh ga.ī ātish-e-gul dekh tū ai dīda-e-tar
kyā sulagtā hai jo pahlū meñ dhuāñ hai kuchh aur
paanī us meñ se bhareñ is meñ gireñ yūsuf-e-dil
chashma-e-chāh-e-zaqan aur kuaañ hai kuchh aur
jīte-jī maut kā Dar ba.ad-e-fanā ḳhauf-e-azāb
juz ġham-o-rañj yahāñ hai na vahāñ hai kuchh aur
husn-e-sūrat pe na jā dekh vahīñ ma.anī ko
ek haiñ ka.aba-o-but-ḳhāna kahāñ hai kuchh aur
tum samajhte ho mirī be-zehnī meñ hai kalām
lab-e-goyā kī qasam zikr yahāñ hai kuchh aur
bāda-kash vo huuñ karūñ shīshe ke shīshe ḳhālī
par lagā.ūñ yahī raT nashshe meñ haañ hai kuchh aur
qismat-e-'shād' meñ juz ġham jo yahāñ kuchh bhī nahīñ
ai havas le chal udhar ko ki jahāñ hai kuchh aur
Top Urdushayar.com