Shad Lakhnavi

wo mai-parast hun badli na jab nazar aai

Shad Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1805-1899
vo mai-parast huuñ badlī na jab nazar aa.ī
simaT ga.iiñ jo siyah-kāriyāñ ghaTā chhā.ī
safed baal hue shab huī javānī kī
damīda sub.h huī chauñk sar pe dhuup aa.ī
haram meñ ḳhaak huā huuñ vo āshiq-e-barbād
miyān-e-dair havā-e-butāñ uḌā laa.ī
maiñ vo huuñ bulbul-e-bāġh-e-jahāñ koī gul ho
diyā dil us ko mohabbat kī jis meñ bū paa.ī
chaman meñ jā ke jo pūchhā bahār-e-gul kā sabāt
khilī na thī jo kalī muskurā ke murjhā.ī
hisār-e-husn ke haale meñ muñh nazar aayā
milā ke haath jo lī us hasīñ ne añgḌā.ī
maiñ vo kisān huuñ khetī pe barq ne jis kī
duā jo meñh ke liye kī to aag barsā.ī
rahe mudām yūñhī ishq meñ tah-o-bālā
jo ġham se baiTh gayā dil to uThne aañkh aa.ī
Top Urdushayar.com