jī jā.ūñ jo band nātiqa ho
ḳhāmosh kahīñ ye boltā ho
jāñbāz jo taraddud bhī tirā ho
sau baar mare phir uTh khaḌā ho
zarre meñ ho nūr-e-mahr-vash
terā jo karam ho kyā se kyā ho
khul jaa.eñ hazāroñ kūcha-e-zaḳhm
talvār chale to rāsta ho
zulfoñ pe jo us ke mar miTā huuñ
turbat pe daraḳht jaal kā ho
ghaḌiyoñ ke haiñ pur-ġhubār shīshe
miTTī koī dil na ho gayā ho
rañgīn ho qabā-e-tan lahū se
jogī huuñ libās gerua ho
baḳhshe jo falak ġham-e-zamāna
ġham-ḳhvār vo huuñ ki nāshtā ho
saanī hai tirā muhāl ai but
paidā na ḳhudā kā dūsrā ho
vo bosa-e-lab mujhe ki dushnām
darvesh huuñ kuchh mile bhalā ho
yuuñ ai tap-e-ġham jalā sarāpā
sar-tā-qadam ik aabla ho
ai dast-e-ḳhudā jo haath kī hai
hai 'shād' shikasta-pā nayā ho