Shad Lakhnavi

TuTe jo dant munh ki shabahat bigaD gai

Shad Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1805-1899
TuuTe jo daañt muñh kī shabāhat bigaḌ ga.ī
vo ghar huā ḳharāb jahāñ phuuT paḌ ga.ī
vo zaar huuñ jo saañs dam-e-marg ukhaḌ ga.ī
mayyat kanār-e-gor meñ kāñTe sī gaḌ ga.ī
DhūñDho charāġh le ke za.īfoñ galī galī
ġham ho gayā shabāb javānī bichhaḌ ga.ī
phūlūñ phalūñ maiñ kyā chaman-e-rozgār meñ
maiñ vo nihāl-e-sabz huuñ ghun jis kī jaḌ ga.ī
chāhā jo mālish-e-kaf-e-afsos kījiye
hāthoñ ko ye milā ki hathelī ragaḌ ga.ī
gul aa ke zer-e-kafsh-e-sabā saaf ho gayā
juutī jo be-hayā ke paḌī ḳhaak jhaḌ ga.ī
uqda khulā ye dast-e-hinā band-e-yār se
meñhdī hai apne chor kī mushkeñ jakaḌ ga.ī
vo gul araq-fashāñ nazar aayā jo baaġh meñ
shabnam pe os āb-e-ḳhajālat se paḌ ga.ī
Dhāñpā kafan meñ muñh ko jo sharm-e-gunāh se
mayyat mirī zamīñ meñ ḳhajālat se gaḌ ga.ī
ai 'shād' lucknow kī ḳharābī na pūchhiye
bastī basī-basā.ī guloñ kī ujaḌ ga.ī
Top Urdushayar.com