dukhā dil bhī TukḌe jigar hote hote
idhar bhī uThā dard udhar hote hote
javānī kā joban Dhalā din kī sūrat
zavāl aa gayā dopahar hote hote
dil-e-nā-murād ik hazār ārzūeñ
use chāhiye umr-bhar hote hote
nahāne meñ zanjīr-e-pā tauq-e-gardan
bane halqa halqa bhañvar hote hote
vo jā apne pahlū meñ de hī ye mushkil
jo hogā bhī to dil meñ ghar hote hote
haram jaate jaate ga.e mai-kade meñ
idhar ho ga.e 'shād' udhar hote hote