Shad Lakhnavi

suna hum ko aate jo andar se bahar

Shad Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1805-1899
sunā ham ko aate jo andar se bāhar
phire ulTe pairoñ bāhar se bāhar
kaḌī meñ na de saath yār-e-dilī tak
sharar choT khā kar ho patthar se bāhar
yūñhī kal-adam ham miyān-e-lahad the
miTāyā nishāñ us pe Thokar se bāhar
na kar harza-gardī jo zī-ābrū hai
nikaltā nahīñ aa.ina ghar se bāhar
jināñ se huī muddat aadam ko nikle
vatan se huuñ maiñ zindagī-bhar se bāhar
vo mahrūm-e-daulat huuñ bargashta qismat
uḌe ḳhaak ghar meñ jo hū barse bāhar
miTe gardish-e-baḳht kyā lāġharoñ kī
na ho kāh-e-girdāb chakkar se bāhar
laḌāte jo ho 'shād' se ghar meñ āñkheñ
nazar Daalo ham par bhī tevar se bāhar
Top Urdushayar.com