huī to jā dil meñ us sanam kī namāz meñ sar jhukā jhukā kar
haram se but-ḳhāne tak to pahuñchā ḳhudā ḳhudā kar ḳhudā ḳhudā kar
lahad meñ kyā zikr raushnī kā sar-e-lahad bhī jo rahm khā kar
jalā kiyā jab charāġh koī havā ne ThanDā kiyā bujhā kar
nishān-e-barbād-gān-e-ālam jo pūchhe sahrā meñ ham ne jā kar
sabā se uḌ uḌ ke gard baiThī bagūle uTThe havā meñ aa kar
jo chashm-e-anjām-e-bīñ se dekhā bahār do din hai phir ḳhizāñ hai
ma.āl-e-gulshan pe roī shabnam hañse gul-e-tar jo khil-khilā kar
butoñ kī pur-āb añkhḌiyoñ meñ khulā ye dekhā jo putliyoñ ko
ye vo haiñ hindū dharam jaman se phire jo gañgā chale nahā kar
ḳhayāl-e-hajj-e-haram ko chhoḌā sunā jo shah-e-rag se hai qarīñ-tar
tavāf-e-dil hī kiyā kiye ham ga.e na ka.abe ko pher khā kar
zamīñ meñ ai 'shād' mar ga.e par falak dabā.e to kyā gila hai
miyān-e-turbat hamāre pahlū hameñ dabāte haiñ murda pā kar