ham vo nālāñ haiñ bolī-Tholī meñ
bulbuloñ ko jo leñ ThiTholī meñ
jāma-zeboñ se us ko nisbat kyā
laakh TukḌe haiñ gul kī cholī meñ
rañj-e-ġham khāne ko ḳhudā ne diyā
kyā nahīñ mujh gadā kī jholī meñ
alf-lailā sune vo gul to sunā.eñ
bulbuleñ ik hazār bolī meñ
ḳhūn-e-nāhaq hamārā uchhlegā
rañg laayā jo shoḳh holī meñ
chashm-e-ibrat se dekh parda-nashīñ
shakl tābūt kī hai Dolī meñ
sabza-e-ḳhat ho kyuuñ na jauhar-e-ḳhāl
zahr tiryāk kī hai golī meñ
bosa us sarv-e-qad se ham āzād
maañg lete haiñ bolī-Tholī meñ
'shād' ro ro diyā hai shabnam ne
jab guloñ ne liyā ThiTholī meñ