Shad Lakhnavi

taswir meri hai aks tera tu aur nahin main aur nahin

Shad Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1805-1899
tasvīr mirī hai aks tirā tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
kar ġhaur tū apne dil meñ zarā tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
tasbīh ne jis dam faḳhr kiyā dānoñ meñ vahīñ Dore ko dikhā
zunnār ne is rishte se kahā tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
is baaġh meñ tū ai barg-e-hinā hañsne pe mire zaḳhmoñ ke na jā
rone meñ lahū ḳhandāñ hoñ kyā tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
har ek javāhir besh-bahā chamkā to ye patthar kahne lagā
jo sañg tirā vo sañg mirā tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
ai 'shād' mirā putlā jo banā mil ātish-o-ḳhāk-o-āb-o-havā
har chaar anāsir ne ye kahā tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
Top Urdushayar.com