dekh kar rū-e-sanam ko na bahal jā.ūñgā
marte dam le ke sambhālā to sambhal jā.ūñgā
tan kafan-posh to ho aur hī pairāhan meñ
ujle kapḌe meñ badalte hī badal jā.ūñgā
chaman-e-dahr meñ vo barg-e-ḳhizānī huuñ maiñ
gar na barbād huā aag meñ jal jā.ūñgā
huuñ vo sābit-qadam ai charḳh jo bhauñchāl bhī aa.e
chāhe Tal jaa.e zamīñ maiñ nahīñ Tal jā.ūñgā
maiñ vo uftāda-e-chashm-o-nazar-e-ālam huuñ
paañv pakḌegī zamīñ bhī to phisal jā.ūñgā
sāz-o-sāmān-e-tarab kuchh na agar haath aayā
jhāñjh ho kar kaf-e-afsos hī mal jā.ūñgā
'shād' bahkūñ na kabhī nashsha-e-daulat ho hazār
kuchh maiñ kam-zarf nahīñ huuñ jo ubal jā.ūñgā