lab-e-jāñ-baḳhsh par jo naalā hai
ab masīhā bhī marne vaalā hai
ḳhuun thūkā mudām sūrat-e-zaḳhm
dil-e-nāsūr ab tak aalā hai
ro rahā huuñ misl-e-abr-e-bahār
doñgḌā meñh kā hai na jhālā hai
vo balā-nosh-e-ranj-o-mehnat huuñ
ġham-e-kaunain ik nivālā hai
har qadam par haiñ saikḌoñ pāmāl
sarkashoñ kā chalan nirālā hai
har mizha par ravāñ haiñ kūdak-e-ashk
nai savāroñ kā yaar saalā hai
ashk-e-ḳhūñ ruuh par haiñ misl-e-shafaq
rañg kis shoḳh ne uchhālā hai
fard-e-a.amāl nek-kārāñ 'shād'
qasr-e-firdaus kā qabāla hai