Shad Lakhnavi

har shab KHayal-e-ghair ke mare alag-thalag

Shad Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1805-1899
har shab ḳhayāl-e-ġhair ke maare alag-thalag
aate haiñ ḳhvāb meñ vo hamāre alag-thalag
gar ġhair saath saaye ke sūrat na thā to kyuuñ
misl-e-sabā chaman se sidhāre alag-thalag
bulbul vo huuñ ki fasl ke pahle hī bāġhbāñ
letā hai baaġh jis kā ijāre alag-thalag
dām-e-balā meñ phañste haiñ aap aa ke saikḌoñ
vo but hazār baal sañvāre alag-thalag
ai gul tujhe kisī kī na mutlaq ḳhabar huī
ġhunche chaTak chaTak ke pukāre alag-thalag
ḳhalvat meñ bhī jo aa.e haiñ jalvat kā zikr kyā
baiThe hue haiñ sharm ke maare alag-thalag
pesh-e-nazar shabīh-e-ḳhayālī hai apnī 'shād'
naqshe jame hue haiñ hamāre alag-thalag
Top Urdushayar.com