ahl-e-īmāñ se na kāfir se kaho
ai buto lekin ḳhudā-lagtī kaho
gar mileñ yārān-e-rafta pūchhiye
mar ga.e par kis tarah guzrī kaho
pā.imālo ishq meñ kyūñkar kaTī
kohkan se sar-guzashte apnī kaho
chashm-e-tar par dajla-o-jīhūñ meñ kyā
abr sī chhā jaa.e jo phabtī kaho
sham-o-parvāna jo pūchheñ soz-e-ishq
apnī biitī yā mirī biitī kaho
piiT pīchhe bad kaho ai aa.ino
rū-ba-rū us ke na muñh-dekhī kaho
muñh lapeTe gosha-e-marqad meñ 'shād'
kyuuñ paḌe chup ho hai kaisā jī kaho