Shad Lakhnavi

bosa zulf-e-dota ka do

Shad Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1805-1899
bosa zulf-e-dotā kā do
rūhoñ balā.eñ sadqa do
radd-o-badal kyā bosa do
letā ek na detā do
zulf-e-siyah ke mujrim haiñ
kaale paanī bhijvā do
ye jā.eñge misl-e-habāb
chhūTne dil kā chhālā do
mushrik kyā ho vahdat meñ
ek ko dekhe jhaTkā do
ghar meñ bulā ke qatl karo
darvāze meñ teġhā do
ham pe khulā hai rāz-e-kamar
aur kisī ko dhokā do
chāhiye ham ko ġhusl-o-kafan
kapḌe badleñ nahlā do
gul khā khā kar dī hai jaan
qabr meñ merī chhallā do
turbat-e-vā.iz tak chalo 'shād'
jhūTe ko had tak pahuñchā do
Top Urdushayar.com