Shad Lakhnavi

ghairon mein hina wo mal raha hai

Shad Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1805-1899
ġhairoñ meñ hinā vo mal rahā hai
nairañg-e-jahāñ badal rahā hai
khaTkā hai ye nashtar-e-mizhgāñ kā
rag rag se jo dam nikal rahā hai
vasf-e-lab-e-surḳh likh rahā huuñ
yāqūt qalam ugal rahā hai
ābādī-e-dil hai dāġh-e-sozāñ
is ghar meñ charāġh jal rahā hai
hai dil kī taḌap se chashm-e-pur-nam
paare kā kuaañ ubal rahā hai
dil ġham se na kis tarah ho ThanDā
pañkhā dam-e-sard jhal rahā hai
betāb hai dil ye ġham ke hāthoñ
geñde kī tarah uchhal rahā hai
shabnam se josh-e-mai-kashī hai
har sāġhar-e-gul khañgal rahā hai
dil ātish-e-ġham se taao khā kar
rāñge kī tarah pighal rahā hai
hai chashm-e-siyah meñ kūdak-e-ashk
bhañvre meñ ye tifl pal rahā hai
mankā hai Dhalā laveñ phirī haiñ
aa jald ki dam nikal rahā hai
be-barg-o-samar haiñ ik hamīñ 'shād'
har ek nihāl phal rahā hai
Top Urdushayar.com