ham se do-chār bazm meñ dhyān aur kī taraf
aañkh is taraf lagā.ī hai kaan aur kī taraf
abrū se ham shahīd mizha se raqīb huuñ
talvār idhar lagā.iye baan aur kī taraf
said-e-zabūñ vo huuñ jo ravāñ tiir idhar huā
us kī qazā ne bolī kamān aur kī taraf
ham bekasoñ kī qabr sivā hargiz ai falak
nam-gīr ko na abr ke taan aur kī taraf
yārab kare jo husn kī ḳhairāt vo sanam
mere sivā kare nahīñ daan aur kī taraf
utre na kis tarah mirī āñkhoñ meñ ḳhuun 'shād'
detā mujhe dikhā ke hai paan aur kī taraf