qaul us daroġh-go kā koī bhī sach huā hai
vaa.iz jahān-bhar kā jhūTā labā.riyā hai
ka.abe meñ jis hasīñ kā lagtā nahīñ patā hai
mil jaa.e but-kade meñ jo vo sanam ḳhudā hai
puujā na kar butoñ ko apnī hī kar parastish
ai but-parast putlā tū bhī to ḳhaak kā hai
rag rag meñ ye bañdhī hai gard-e-malāl-e-ḳhātir
vo said huuñ ki jis kā sab gosht kirkirā hai
umr-e-ravāñ hai misl-e-mauj-e-ravāñ gurezāñ
bahr-e-jahāñ meñ insāñ paanī kā bulbulā hai
karne ko sar phuTavval jis koh ke darre meñ
jab maiñ pukārtā huuñ farhād boltā hai
vo but na raam hogā be-rab kisī ke chāhe
ai barahman ḳhudā kā kyā koī dūsrā hai
dandāñ ke āshiqoñ ke aañsū haiñ dur nahīñ haiñ
niklī jo sītlā hai vo bhī to motiyā hai
gum-zār 'shād' gaahe imroz rā ba-fardā
ma.alūm ye kise hai kal kyā hai aaj kyā hai