Shad Lakhnavi

na-tawan wo hun nigahon mein sama hi na sakun

Shad Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1805-1899
nā-tavāñ vo huuñ nigāhoñ meñ samā hī na sakūñ
bharūñ āñkhoñ meñ nazar sā nazar aa hī na sakūñ
dil jalānā hai to ai mehr jalā misl-e-kabāb
daaġh kuchh mohr nahīñ hai jo uThā hī na sakūñ
tah-e-shamshīr-e-do-dam ḳhush huuñ ye shīshe kī tarah
ek dam sañg-diloñ se maiñ banā hī na sakūñ
ham-nashīñ yaar ho kyā ye hai nasīboñ meñ firāq
joḌ a.azā ke bhī ukhḌeñ to biThā hī na sakūñ
ḳhud farāmosh huuñ aisā ki dil-e-be-ḳhud se
yaad us but kī bhulā.ūñ to bhulā hī na sakūñ
ḳhāma sā hai azalī sīna-figārī merī
zaḳhm-e-dil laakh silā.ūñ pa silā hī na sakūñ
dastaras kākul-e-ḳhamdār ye honā hī muhāl
ye vo nāgan hai jo hāthoñ pe khilā hī na sakūñ
nāznīñ ye hai ki ai 'shād' nazar-bāzoñ ko
kamar us kī jo dikhā.ūñ to dikhā hī na sakūñ
Top Urdushayar.com