Shad Lakhnavi

lunj wo pa-e-talab hun kahin ja hi na sakun

Shad Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1805-1899
lunj vo pā-e-talab huuñ kahīñ jā hī na sakūñ
shal ye ho dast-e-havas haath baḌhā hī na sakūñ
zid ye us ko hai jo royā maiñ bhī chhup kar jā.ūñ
khol dī aañkh nazar ḳhvāb meñ aa hī na sakūñ
dekh kar husn butoñ kā jo ḳhudā se phir jaa.e
dil-e-gumrāh ko phir raah pe lā hī na sakūñ
madad ai dast-e-junūñ pairahan-e-gul kī tarah
ye phaTe jāma-e-aslī ki silā hī na sakūñ
yā ilāhī shab-e-vaslat jo kahe jaane ko
paañv so jaa.eñ ye us ke ki jagā hī na sakūñ
maiñ vo ġham-ḳhvār huuñ ġham aañkh kī putlī kā tirī
dāna-e-ḳhāl nahīñ hai ki jo khā hī na sakūñ
husn-e-mahfil hai to hone do usī ḳhalvat meñ
band quliyān nahīñ haiñ jo bulā hī na sakūñ
sifat saaya vo ik jān-e-do-qālib huuñ maiñ
duur ho laakh kabhī paas se jā hī na sakūñ
nazar uftāda vo huuñ ashk-e-chakīda kī tarah
girūñ āñkhoñ se to nazroñ meñ samā hī na sakūñ
ai kamāñ-dār jo tū mujh ko bulā.e sau baar
tīr-e-jasta maiñ nahīñ huuñ ki phir aa hī na sakūñ
ai sanam jo tū na maan.e ho tirī mahfil se
ġhair kyā naaz tirā hai ki uThā hī na sakūñ
na sahī vasf-e-dahan baal to suljhāne do
zulf kuchh baat nahīñ hai jo banā hī na sakūñ
khā.ūñ saugand pe sahvan qasam ai but tirī
qasmiya bhī jo maiñ khā.ūñ kabhī khā hī na sakūñ
ta.ana-e-ġhair se ai zo.af jo baiThe dil-e-zār
baat vo bār-e-garāñ ho ki uThā hī na sakūñ
kyā tamāshā hai ki nazroñ meñ hai lekin ai 'shād'
qurb-e-shah-rag maiñ jo DhūñDūñ use pā hī na sakūñ
Top Urdushayar.com