ham ne bāñdhe haiñ us pe kyā kyā joḌ
par chalā ek bhī na fiqrā joḌ
joḌtā hai jo tū mohabbat kā
ham se zunnār-dār rishtā joḌ
sar-e-dushman na toḌiye kab tak
mujh pe chaltā hai vo hamesha joḌ
ai rafū-gar jo Taañk jāma-e-tan
taar taar aur purza purza joḌ
zulfiqār-e-alī kī tujh ko qasam
sar judā jis se ho vo fiqrā joḌ
nisbat-e-zulf jaise sumbul ko
vaise naafe kā mushk naafā joḌ
ham usī ko kaheñge ā.īna-sāz
de hamārā jo dil shikasta joḌ
mazhara be kā 'shād' urdu meñ
jāntā huuñ alif hī hai kā joḌ