Shad Lakhnavi

shagufta hote hi murjha gai kali afsos

Shad Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1805-1899
shagufta hote hī murjhā ga.ī kalī afsos
bahār-e-bāġh idhar aa.ī udhar ga.ī afsos
ki tum aḳhīr bhī kahne na hāl-e-dil paa.e
zabān band huī baat karte hī afsos
isī bahāne se muñh dekhte hasīnoñ kā
safā-e-dil na huī apnī aarsī afsos
huzūr-e-qais pahan kar junūñ meñ kyā jaa.eñ
qabā-e-tan hai sarāpā nuchī khuchī afsos
vabāl-e-dosh rahā sar bhī nā-tavānī se
milā na koī hameñ teġh kā dhanī afsos
nazar se gir ke ye dil-e-ġham huā kahīñ na milā
junūñ meñ ḳhaak bhī chhānī galī galī afsos
vo kushtanī haiñ jo maahī kā bhes bhī badlā
halāl ho ga.e machhlī se bhī chhurī afsos
mazār-e-qais pe aa.ī na ek laila kyā
kisī ne baat na pūchhī ġharīb kī afsos
barahnagī kā to marne pe ġham nahīñ lekin
kafan khasūT se sharmindagī huī afsos
ḳhizāñ ke haath se rone kī jā hai ḳhanda-e-gul
bisūrtī hai ye hañstī nahīñ kalī afsos
kise sunā.eñ ye ham reḳhta zabāñ ai 'shād'
janāb-e-'mīr' na 'mirzā' na 'mus.hafī' afsos
Top Urdushayar.com