Shad Lakhnavi

duniya mein qasr-o-aiwan be-faeda banaya

Shad Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1805-1899
duniyā meñ qasr-o-aivāñ be-fā.eda banāyā
uqbā inheñ banā.ī mun.im to kyā banāyā
jo unsurī gharauñdā pe chaukhaTā banāyā
ik dam meñ vo bashar kā bigḌā banā banāyā
zulfoñ meñ tā.ir-e-jāñ jis ne phañsā banāyā
tan ko qafas ragoñ ko ik jaal sā banāyā
soz-e-ġham-o-alam se bah jā.ūñ shamma-sāñ jo
ai sho.ala-rū mujhe bhī kyā mom kā banāyā
naqshe pe khiñch sakā jab maanī se dil-jaloñ kā
jis jā makān-e-dil thā ātish-kada banāyā
bahr-e-jahāñ meñ jis dam pahuñchī numūd-e-insāñ
paanī ne sar uThā ke ik bulbulā banāyā
pahnā kafan utārā hastī ke pairahan ko
pheñkā libās-e-kohna jaama nayā banāyā
ḳhāliq ne jab kahā ḳhalq abrū ke bismiloñ kā
gardan mirī banā.ī ḳhanjar tirā banāyā
chal kar sabā kī sūrat ḳhandāñ kiyā guloñ ko
ġhunchoñ kā muñh bigāḌā jab muñh zarā banāyā
shīshagarī pe nāzāñ be-kār shīsha-gar haiñ
koī bhī dil kisī kā TuuTā huā banāyā
aahoñ ke kūdkoñ ne chhalnī kiyā yahāñ tak
saqf-e-falak ko chhattā zambūr kā banāyā
shān-e-ḳhudā ayaañ hai har but se mai-kade meñ
ka.abe meñ tum ne jā kar ai 'shād' kyā banāyā
Top Urdushayar.com