Shad Lakhnavi

dil ki kahun ya kahun jigar ki

Shad Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1805-1899
dil kī kahūñ yā kahūñ jigar kī
kuchh baat karūñ idhar-udhar kī
lau dil kī bujhā.eñ yā jigar kī
leñ ashk ḳhabar kidhar kidhar kī
uThne na diyā hameñ mare par
lī zo.af ne āqibat pisar kī
ghaḌiyāl nasīb huuñ shab-e-vasl
sar choT hai har ghaḌī gajar kī
Dhalne ko hai mehr-e-naujavānī
chhuTne pe hai top dopahar kī
kyā kam-suḳhanoñ ko sham.a kahiye
sham.oñ kī zabāñ hai haath bhar kī
marqad meñ chale rah-e-adam lī
sūjhī jo musāfirat meñ ghar kī
kākul huī tar araq se ruḳh ke
pī saañp ne us phuul par kī
jī qabr meñ ḳhaak bhale ai 'shād'
bastī hai ujaaḌ is nagar kī
Top Urdushayar.com