fasīl-e-jism kī ūñchā.ī se utar jaa.eñ
to is ḳharābe se ham log phir kidhar jaa.eñ
havā batātī hai guzregā kārvāñ koī
kuchh aur der isī raah par Thahar jaa.eñ
tamām din to lahū chāTtā rahā sūraj
huī hai shaam chalo apne apne ghar jaa.eñ
kabhī to koī lahū ke diye jalā.egā
chalo nishān-e-qadam apnā chhoḌ kar jaa.eñ
abhī sadā na do kuchh der aur sūraj ko
ye jitnī sūkhī huī naddiyāñ haiñ bhar jaa.eñ
ye shash-jihat to bas ik naqsh-e-pā kā vaqfa hai
tumhīñ batāo kahāñ aa ke ham Thahar jaa.eñ
'ayāz' ham ko na apnā sakī kabhī duniyā
vahī sadā hai ta.āqub meñ ham jidhar jaa.eñ