dāstān-e-dard-e-dil ahl-e-vafā kahne lage
ya.anī har āvāz ko terī sadā kahne lage
lījiye phir toḌ dī yāroñ ne zanjīr-e-sukūt
lījiye ham zindagī kā marsiya kahne lage
ye bhī apnī tañg-nazarī kī hai ik vāzeh dalīl
ham jo har chehre ko ab ik aa.ina kahne lage
phir na.ī tahzīb kā ik baab raushan ho gayā
log phir ab dāstān-e-irtiqā kahne lage
itnī āvāra-mizājī bhī 'ayāz' achchhī nahīñ
dekh tere baare meñ ab log kyā kahne lage