ziist kā ḳhālī kaTorā aap hī bhar jā.egā
apne hī jaisā kisī din vo mujhe kar jā.egā
shahr meñ koī na rah pā.egā benām-o-nishāñ
jis taraf shīshe kī yūrish hogī patthar jā.egā
naddiyāñ ab bhāgtī phirtī haiñ sahrā kī taraf
ab to dariyā ke ta.āqub meñ samundar jā.egā
kho chuke haiñ log apne apne chehroñ kā vaqār
jo bhī jā.egā tirā ham-shakl ban kar jā.egā
vo utarvā legā hoñToñ se libās-e-ḳhāmushī
vo yahāñ koī na koī gul khilā kar jā.egā
maiñ huuñ apne daur ke ik sāhab-e-fan kā kamāl
aane vaalā mujh pe do aañsū bahā kar jā.egā
jitnī duurī se sadā dete haiñ mujh ko vo 'ayāz'
us bulandī par kahāñ merā muqaddar jā.egā